Archive for July, 2009

Kya hua tera vaada – Hum Kisi Se Kam Nahi

July 21, 2009

Kya hua tera vaada wo kasam wo iraada
kya hua tera vaada wo kasam wo iraada
bhoolega dil jis din tumhe wo din zindagi ka aakhri din hoga
kya hua tera vaada wo kasam wo iraada
bhoolega dil jis din tumhe wo din zindagi ka aakhri din hoga
kya hua tera vaada

yaad hai mujhko tune kaha tha tumse nahi roothenge kabhi
dil ki tarah se haath mile hain kaise bhala chhootenge kabhi
teri baahon mein beeti har shaam bewafaa ye bhi kya yaad nahi
kya hua tera vaada wo kasam wo iraada
bhoolega dil jis din tumhe wo din zindagi ka aakhri din hoga
kya hua tera vaada wo kasam wo iraada

o kehne waale mujhko farebi kaun farebi hai ye bata
wo jisne ghum liya pyaar ki khaatir ya jisne pyaar ko bech diya
nasha daulat ka aisa bhi kya ke tujhe kuchh bhi yaad nahi
kya hua tera vaada wo kasam wo iraada
bhoolega dil jis din tumhe wo din zindagi ka aakhri din hoga
kya hua tera vaada wo kasam

Likhe jo khat tujhe

July 20, 2009

One of my favorite songs from the movie Kanyadan.

Likhe jo khat tujhe
woh teri yaad mein
hazaaron rang ke
nazaare ban gaye

sawera jab huya
to phool ban gaye
jo raat aayi to
sitaare ban gaye

Koyi nagma kahin goonja
kahan dil mein
yeh tu aayi
kahin chatki kali koyi
main yeh samjha, tu sharmaayi
koyi khushboo kahin bikhri
laga yeh zulf lehraayi

Likhe jo khat tujhe…

Fiza rangeen, adaa rangeen
yeh ithlaana, yeh sharmaana
yeh angdhaayi, Yeh tanhaayi
yeh tarsa kar, chale jaana
bana de ga nahi kisko
jawaan jadoo yeh deewana

Likhe jo khat tujhe..

jahan tu hai, wahan main hoon
mere dil ki tu dhadhkan hai
musafir main tu manzil hai
main pyaasa hoon tu saawan hai
meri duniya yeh nazre hain
meri jannat yeh daaman hai

Likhe jo khat tujhe…